TV MISL AAYINA HAI 17
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 JAANDAAR KI TASVEER BANANA HARAAM HAI 🥀*
*💿 POST ️1️⃣7️⃣*
*1- T.v misl aayina hai*
*2- T.v me tasweer nahin balki shuwayein yaani rase hai*
*3- Umoome balwa yaani haalate zamana ko dekhte hue ise jayaz kar dena chahiye*
✏️Aayiye chalte hain in saari baato ka post mortem karne ke liye,sabse pahle hindustan me is khurafat ko jisne jayaz kiya wo badmazhab firka jamate islami ka baani abul aala maududi tha jiske maanne waalo ko maududwi bhi kaha jaata hai,phir isi maududvi tahqeeq ko aage badhaya maulvi madni miyan sahab kachauchvi ne,jis par huzoor taj-us-shariya ne unki sharayi giraft farmayi aur unki galat tahqeeq par 25 sawal qaayam farmaye,jiska jawab madni miyan sahab ne kuchh ka kuchh diya halaanki unke diye gaye jawabaat galat the magar phir bhi huzoor taj-us-shariya ne un par bhi kuchh sawal qaayam kiye jiska jawab aaj tak unke ya unke maanne waalo ki taraf se nahin diya gaya,magar jaisa ki ulta chor kotwaal ko daate waali kahawat yaha sateek baithti hai jawab to diya nahin ulta apne stagon se unke group ke logon ne maslan haashmi miyan ubaid ullah khan aazmi maulvi zaheer uddin wagairah ne khule aam huzoor taj-us-shariya wa sarkare aalahazrat ki shaan me gustakhiyan ki balki kuchh sahaba ikraam ko bhi nishaana bana daala,jo hazraat wo audio sunna chahen wo www.benaqabchehre.com par visit karen,phir isi kadi me ek aur naam juda pakistan ke ek gumrah maulvi tahirul qadri ka jiske oopar sirf hindustan hi nahin balki pakistan ke bhi 125 se bhi zyada ulmaye ikram ne hukme kufr lagaya,phir inhi kuchh gumrah maulviyon ki shah paakar pakistan ki badnaam zamana tahreek daawate islami bhi chal padi,jo shuru me to apni jamaat ko farog dene ke liye khooob maslake aalahazrat ka naara bulan karti thi,ab chaliye t.v ko jayaz karne ki un 3 daleelo par kuchh arz karta hoon
*🌈NEXT POST*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें