12
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 JAANDAAR KI TASVEER BANANA HARAAM HAI 🥀*
*💿 POST 1️⃣2️⃣*
✏️Hazrat Ayesha Siddiqa Radiyallahu Ta'ala Anha Farmati hai ke
maine ek (1) Gadda kharida
jis me Tasweerein Thi.
Jab Rasoolullah Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam ne use dekha to dur Daraaz par khade ho gae
AUR andar Daakhil na hue.
Maine (Sayyeda Ayesha
Siddiqa) Aap Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam ke Chehra e Anwar par Karahat ke Aasaar dekhe.
Arz ki Ya Rasoolullah
MAI Allah aur us ke Rasool ki
Jaanib Taaib hoti ho
mujh se kya Gunah sar zad ho gaya???
Farmaya Ke is Gadde ka kya Haal hai???
✏️Arz ki ke Maine use Aap ke Baithne ke liye Kharida hai,
Pas Rasoolullah Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke
un Tasweeron ke banane walo ko
Qayamat ke Roz AZAAB diya jaega
aur un se kaha jaega ke
JO Cheez tum ne Banai hai un mei jaan Daalon
AUR farmaya ke wo ghar jis ke andar Tasweer ho
us mei REHMAT KE FARISHTE DAAKHIL NAHI HOTE,,
*📚 Bukhari Sharif, Jild 3, Kitab: Al-Libaas, Safa 333*
*🌈 NEXT POST*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें