ZAROORAT KE LIYE BANWANA 05

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 JAANDAAR KI TASVEER BANANA HARAAM HAI 🥀*



*💿 POST 5️⃣*

*(identity) zaroorat ke liye banwana*

✏️Haa Pass port, Pan card aur is ke alawa dusre Safari
aur Shanakhti (identity) zaroorat ke liye banwana is
daur me Fuqha wa Ulama wa Muftiyan e Kiram ne rookhsat diye hai
KE ye ek Zaroorat hai.

✏️Aaj Shanakhti card (identity proof) ke Bagair koi Shakhs kisi Mulk ka Bashinda (Residence) hi nahi samjha ja sakta.
Isi liye Aalami Sateh (international level) par Tasweer Laazim ho gai hai.
Isi liye pass port, voter Id, Pan card, Aadhar card,
IS k alawa aur bhi Shanakht ke zariye hai
SIRF usi ke liye rookhsat diya gaya hai.

✏️ Lekin aaj kai Musalman Khaskar Naujawan (College going students) Mobile Camere ke zariye
Najaiz o Haram kaam karte hue nazar aa rahe hai.

✏️Baat baat par Pose dekar mobile Camera se Photo nikalna un k liye fakhr ki baat ho gai hai.
                
               *Astaghfirullah*

✏️Chahe Ladke ho Ya Ladkiyan aaj har koi is Gunah (photography) me Doobe hue Nazar aa rahe hai.
Kal tak Sirf Shaadiyon mei photography (Haramkari) hua karti thi
LEKIN aaj mobile ke zariye baat baat par photo nikala jata hai.
Kahin bahar Hotel mei khana khane gae to
ghar ka hi koi member mobile nikal kar kehta hai
ek photo ho jae,
is par baaki sab ghar wale Haathon mei niwala lekar Apne mooh k pass rakhte hue Pose mei badi shaan se photo Nikalwate hai.
              
               *ALLAH KI PANAH*

*🌈 NEXT POST*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जानदार तस्वीर पर सुब्ह़ान अल्लाह माशाअल्लाह कहना कैसा बाज़ लोग वाट्सएप पर या फेसबुक पर अपना

पीर की तस्वीर मकानों में लगाना कैसा है।*

तस्वीर बने हुए कपड़े को पहन कर नमाज़ पढ़ना कैसा है*