07

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 JAANDAAR KI TASVEER BANANA HARAAM HAI 🥀*



*💿 POST 7️⃣*

*Chand Misaalon se in baaton ko samjhne ki koshish kare*

✏️Yoo to maut kai tarah se aa sakti hai,
LEKIN yaha yoo samajhiye ke banda apne Rab ke paas teen (3) tarah se Pahunchta hai
(yani Intekaal kar jata hai.)

✏️(1)= Kudrati maut:-------
Yani Saalo se ya kuch din Bimaar rehkar kisi badi Bimaari mei Mubtila hokar apne Rab se ja milna.

✏️(2)= Kisi Haadse (accident) ke sabab,
KE raaste mei kisi car ya bike ne takkar mar di aur is ki wajah se jaan chali gai.
Ya kisi ne Bandook se goli chala kar qatl kar diya.....

✏️(3)= Haram maut.
Yani Apne aap ko Khud hi Qalt kar dena,
jise khud khushi bhi kaha jata hai

✏️ Jab aap kisi Bank, railway station, airport, shopping Malls, Signal par ho
AUR aap ko ye pata ho ke aap ki CCTV me Picture qaid ho rahi hai
AUR aap ka us jagah jana bhi zaroori hai
aur aap photography ko Haram aur bura bhi jaante ho to
IS me aap ki Giraft (Pakad) nahi hogi,
kyun ki aap majboori me waha khade ho
yani ye usi tarah hai k Banda nahi chahta ke
RAASTE mei us ka Haadsa ho
LEKIN phir bhi na chahte hue bhi Haadse ka shikaar ho gaya..

✏️ LEKIN aap CCTV k saamne Pose dekar ya yunhi Fuzool me aise jagah khade ho jaha aap ko kuch kaam nahi
AUR Khushi se, DIL hi dil me ye gumaan karte hue k

✏️CCTV mei meri Picture qaid ho rahi hogi
TAB is me aap ki Sakht giraft hogi.
Ab aise Shaks me aur khud kashi karne wale shaks me koi Fark nahi,
KE dono ne jaan boojh kar Haram kaam kiye hai.,,

*🌈 NEXT POST*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जानदार तस्वीर पर सुब्ह़ान अल्लाह माशाअल्लाह कहना कैसा बाज़ लोग वाट्सएप पर या फेसबुक पर अपना

पीर की तस्वीर मकानों में लगाना कैसा है।*

तस्वीर बने हुए कपड़े को पहन कर नमाज़ पढ़ना कैसा है*