TV-TASVEER HAI YA-AAYINA 16
ЁЯПБЁЯФ┤ЁЯПБЁЯФ┤ЁЯПБЁЯФ┤ЁЯПБЁЯФ┤ЁЯПБЁЯФ┤
*ЁЯеА JAANDAAR KI TASVEER BANANA HARAAM HAI ЁЯеА*
*ЁЯТ┐ POST 1️⃣6️⃣*
*T.V-TASWEER YA AAYINA*
*Post badi hai magar bahut ilmi hai poori padh lijiyega in sha ALLAH ilm me bahut izaafa hoga*
✏️ Beshak nihayat sakht azaab qayamat ke din tasweer banane waalo par hoga
*ЁЯУЪ Muslim,jild 2,safah 201*
✏️ Beshak jo tasweer banate hain qayamat ke din unse kaha jayega ki jo kuchh tumne banaya usme jaan daalo aur wo hargiz aisa na kar sakega
*ЁЯУЪ Muslim,jild 2,safah 209*
✏️ Us ghar me rahmat ke farishte daakhil nahin hote jisme kutta tasweer ya koi junub (jispar gusl farz) ho
*ЁЯУЪ Abu daood,jild 2,safah 218*
✏️ ALLAH rabbul izzat quran muqaddas me irshaad farmata hai ki "wo log jo rasool ALLAH sallallaho taala alaihi wasallama ko eeza dete hain ALLAH ne unpar duniya aur aakhirat me laanat farmayi aur unke liye zillat ka azaab taiyar kar rakha hai
Hazrate akrama raziyallahu taala anhu farmate hain ki ye aayat tasweer banane waalo ke haq me naazil huyi
*ЁЯУЪ Paara 22,surah ahzaab,aayat 57*
*ЁЯУЪ Kitabul kabayer,safah 303*
✏️ AALAHAZRAT azimul barqat raziyallahu taala anhu farmate hain ki "hadees is baare me hadde tawatar par hain jiska qasdan inkar karne waala kam se kam gumrah wa baddeen hai
*ЁЯУЪ Fatawa razviya,jild 9,safah 143*
✏️Magar t.v ke masle par bahut saare naam nihaad ulma gumrahi ke gadhe me gire hue hain,jo ispar dikhne waali image ko tasweer nahin maante hain aur isko jayaz karne ke liye 3 daleele pesh karte hain
*ЁЯМИ NEXT POST*
ЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯСС
*ЁЯПБ MASLAKE AALA HAZRAT ЁЯФ┤*
рдЯिрдк्рдкрдгिрдпाँ
рдПрдХ рдЯिрдк्рдкрдгी рднेрдЬें